fbpx
Join eProperty WhatsApp Channel

Join Pakistan’s Most Popular Whatsapp Channel for Property New Updates and Daily Prices

HOT | PLOTS | BOOKINGS | UAN: 03 111 042 111

eProperty®

Learn, Share & Grow

AXIS Lahore for Sale

Suggest Bahria Town Masjids Names

Bahria Town management ask public to suggest name for Both Masjids in Lahore and Karachi. Winner will be awarded Rs. 10 lacs each. Last date to submit names is Sep 06, 2015. You can send your suggestions at [email protected]

Suggest Bahria Town Masjids Names
eProperty WhatsApp Community

Join the eProperty Community for daily Pakistan Property rate updates, the latest developments, and news.

eProperty WhatsApp Community

Property buying and selling was never easy before; simply connect with our WhatsApp hotline for absolutely free property consulting. Please save this number, +923111042111 in your contact list to get regular updates from us; otherwise, you will not receive any updates.

Suggest Bahria Town Masjids Names

48 thoughts on “Suggest Bahria Town Masjids Names

  1. Assalam-o-alaikum!
    Banda Lahore ki bahria town grand masjid ka nam tajveez krta hay:

    “Jamia Masjid Ah.Yaey Ummat”

    Khasusyat:
    1. Aj Muslim Ummah dunia main apna muqam-o-martaba kho chuki hay. Ab isay kisi markaz ki talash hay jo isay wo shan wapis dilaey jo isay apnay aghaz-o-irtiqa ke dor mein hasil tha. Kash ye masjid he is silsilay main sang-e-meel ban jaey.
    2. Barr-e-saghir mein jab Islam warid hua tha to yahan ki dusri qomein un k akhlaq se mutasa ho kr islam ki aghosh mein aa jatay they. Aj is k baraks hay or surat hal k mutabiq alfaz na zuban bolna chahti hay na qalm likhna chahtay hain. Bas Ahya ki shadeed zaroorat hay.
    3. Science or tamam jadeed uloom mein taraqi sirf us waqt mumkin hay jab afrad mein izzat- e-nafs or jurrat-e-imani usi tarah ho k aik shakhs zakat de to koi laney wala no milay.
    4. Aj hamashri muashrat ka lazmi juzw sood or jhoot ban gaey hain hokoomat se afrad tak in ko mamool ki zindagi ka hissa tasleem kr lia gaya hay. Or Rab Taala se jang qabool kr k yahood o nisara ki madad mangi ja rahi hay. Allah Taala ahya-e-iman ata farmaey. Magr baqol iqbal ” Khuda ne aj tak us qom ki halat nhi badli
    Na ho jis ko khayal ap api halat k badalney ka.”
    5. Akhlaqi or imani ahya k sath hi muslmano ki ilm dosti, mehnat or jido johad ki adat ko bi ahya ki intahi zaroorat hay. Jadeed uloome science mein aj k dor mein muslmanon ka hisa mazi ki nisbat aatay mein namak b nhi.
    6. Dua hay k khuda har aitbar se Ah-yaey Ummat k asbaab ataa farmaey.
    IFTIKHAR ALI
    S/O ASHIQ ALI
    Address: Abu Bakar School, Abu Bakar Park, Near Ali Hajvery Shadi Hall, Badami Bagh, Lahore.

  2. Assalam-o-alaikum!
    Banda karachi ki bahria town grand masjid ka nam tajveez krta hay:

    “Jamia Masjid Wal.Asr”

    Khasusyat:
    1. Ye “surat ul Asr” ke opening alfaz hain jin mein Rab Taala ne zamaney ki kasam khai hay or zamana (time period) ki ahmiat ko ujagar kia hay.
    2. Asr (waqt) ke taqazon ko jan kr chalney wali qom hi dunia me sarbuland hoti hay. Aj puri Muslim Ummah ko ye sabaq yad dilanay ki zroorat hay.
    3. Babul Islam Karachi ne bray zamanay dekhay hain kufr ki tareeki ka dor, Barre saghir me Islam ki roshni phalney ka dor, yahan ke muslmano ki hakoomat or phir un ki ghulami ka dor phir dobara azadi ka dor jo aj tak jari hay or Allah Taala isay qiamat tak jari rakhay.
    4. Is dobara azadi ke dor ki sitm zareefi k Hindi Musalman physically to azad huay laikin zehni tor pr shaid 1947 se ziada hanood o nisara ke garveeda hain or rooh-e-ummat kisi aisay markaz ki talash mein hay jo hindi musalmanon ko haqeeqatan AZAD kar de. Or wo hazar sajdon ki bjaey AIK Sajda krna qabool kr lain.
    5. Baz ulma ne “Wal-Asr” se murad ehd-e-nabuwwat lia hay is liay ye nabi (SAW) se hamaray rishtay ka mazhar hay.
    6. Ulma-e-haq is nateejay pr pohanchay hain k dusri qomon ki taraqi sirf aagay barnay se hay magr Ummah ki taraqi apnay under Asr-e-Nabuwwat wali khoobian paida kr k jadeediat mein aagay bharney se hey. Iska doosri qomon se muazna brah e rast munasib nhi. Baqol Iqbal “KHAS HAY TARQEEB MEIN QOM-E-RASOOL-E-HASHMI.”

    IFTIKHAR ALI
    S/O ASHIQ ALI
    Address: Abu Bakar School, Abu Bakar Park, Near Ali Hajvery Shadi Hall, Badami Bagh, Lahore.

  3. I am hafiz aniq jamil from islamabad G-7/4 house#8

    In my opinion the mosque of karachi can be named as masjid-e-abyaz, masjid-e-ashiab, masjid-e-tahir or masjid-ul-bari. All of these mean white mosque

    The mosque of lahore can be named as masjid-ul-asmar, masjid-ul-bani or masjid-e-masfooh. All of these mean a brown mosque

    Other names are

    1- Bait -ul-muqadas (sacred home) , masjid-ul-moqadass (sacred mosque)
    2- Bait-ul-haram (sacred home) ,masjid-ul-haram (sacred mosque)
    3- Bait-ul-qudsi (sacred home), masjid-e-qudsi (sacred mosque
    (the word BAIT can also be replaced with DAR which also means home)
    4- Masjid-ul-nabi, masjid-e-muhammad, masjid-ul-rasool. These names pay a tribute to holy
    prophet (s.a.w)

    All these names are unique and will inshallah be appreciated

  4. lahore mosque name : Jamia Masjid Allama Muhammad Iqbal
    characteristics :
    1: bar e sagheer pak o hind me unn k pae ka shaer aaj tak paida nahii ho saka.
    2: musalmano k lie ek alag mumlikat ka tasawur Allama Muhammad Iqbal ne pesh kiya.
    3: or apnii shaeri ke zariye musaalmano me khudi ka jazba bedar kia.jis ki waja se aj hum ek azaad mumlikat me ba izzat zindagi guzaar rahe hen.
    4; Allama Muhammad iqbal ki shaerii Quran majeed ki tarjumanii kartii hai.
    5: Ap ek sache Ashiq e Rasool( S.A.W) the.
    6: Ap musalmano ko akhuwat o bhai chaare ka dars dete rahe or firqa wariyat ki hmesha mukhalfat kii.
    ap ki wafaat b lahore me he huii ap badshahi masjid k sadar darwaze me dafan hen.h

    Hazaaro saal Nargis apni Benoori pe Rotii hai
    Bari Mushkil se hota hai Chaman me Dedawar peda

    1. Karachi Mosque Name : Jamia Masjid Muhammad Ali Jinnah
      Characteristics :
      1: Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah pakistan k Baani Hain.
      2: ap ne ye mulk is lie bnayaa ta ke hum islami talimat ke mutabiq azadi se apni zindagi guzar saken.
      3: isi waja se is mulk ka nam Islami Jamhuria Pakistan rakha gaya.
      4: jo firqa wariyat se blkul pak ho …
      5: ap karachi me hi peda hue or karachi me he apne wafat payi.
      Alim hai faqat Momin e Janbaz ki Misaal
      Momin nhiii jo Sahib e Lolaak nhiii hai

  5. jamia msjid chragy syhr karachi…..subh ki rushni or karachi to wsy bhi rushniu ki city hy.

    jamia msjid lbaik lahore.

    hafiz umar farooq madrsa jamia qasmia lajpt nagr shahdra lahore

  6. Jamia msgid craggy shyer Bahria town Karachi..
    is ka mtlb hy subh ki rushni karachi to wsy bhi rushniu ki city hy.

    jamia msgid lbaik bahria town Lahore.

  7. ghazi ilum ud deen shaheed grand jamia masjid lahore
    abu zarar jamia masjid in karachi
    ghulaman e bilal jamia masjid karachi

    according to newspaper

  8. Me from Hammad khan from Lahore. Main 2no mosques ky names suggest karna chahta hn. Karachi ki mosque ka name JAMIA MASJID ALI AKBAR bcz wo bari hai and Lahore wali mosque ka name JAMIA MASJID ALI ASGAR bcz wo un (HAZRAT ALI AKBAR) ky chotay bhai hain ( YA NAMES UN KO KHARAJE TEHSEEN PAISSH KARNAY KAY liye hain).

  9. mosque name lahore and karachi mosque [LAHORE JAMIA MASJID FATIMA BINTE MUHAMMAD ][ KARACHI JAMIA MASJID UMATUL MUSLAMIN]

    IFTIKHAR UDDIN AYUBI 31/S/101D QURESHI ST BANK COLONY SAMAN ABAD LAHORE

  10. ( Alriyazul jannah) riyazul jannah is the place in masjide nbwi jo jaanh mai otri ha

  11. (A) (1) Jamia Muhammad Bin Qasim . (2) Bab Ul Islam. (3) Bab Un Noor . Karachi Due to introduction of Islam by Muhammad Bin Qasim in Sindh & Bab Un Noor Due to Jabl- i – Noor Ghar-e-Hira!s Mountain
    (B) (1) Jamia Riaz-Ul-Jannah (2) Jamia Saif-Ul-Islam (3) Jawahrul Uloom (4) Ahya-Ul-Uloom
    (1) Due To Masjid-e-Nabwi!s Honour (2) Khalid Bin Waleed (3) A Sign of Jannat (4) A Name of Imam Ghazali!s shehpara

    Mian Abdul Rehman Advocate High Court

  12. Masjid-E- Hira , wo jaga jis ko islam ek alaa mqam hasil hy aur jhan hmary pyary nabi Hazrat Muhammad (P B U H) pr phli wohi nazil hue the, aur second name masjid-E-Huraira hy, ap (S A W W) apny ek sahabi ko pyar se abu huraira pukarty thy

  13. ( safinah riyazul jannah) safinah ka meaning ha jahaz,,,or riyazul jannah is the place in masjide nbwi jo jaanh mai otri ha..
    (subah alnoor) ..subah ka noor ye karachi wali masjid k liye bcz wo complete white ha,,,subha ka noor suits this mosque….
    (lolo marjan) ye surat rehman main aya ha
    (bilal masjid) sab se phli azan hazrat bilal nay di thi….thanks:)

  14. frst name masjide amna (huzur s.a.w.w ki walida k nam se sadqa jariya ) aur second masjide fatima

  15. babul islam (pase manzar ye k subah sindh se islam dakhil hua tha muhammad bin qasim k zariye aur wo tashreef lae the…aur second masjide hudaibia (sulah hudaibia)

  16. ملک ریاض صاحب سے درخواست ہیں کے گرینڈجامع مسجد کا نام بدل کر کے اس کا نام بابری مسجد رکھ دیں تاکہ بھارت اور پاکستان سمیت دنیا بھر کے مسلمانوں کو ہیندوؤں کے لگاۓ زخم پر مرہم لگ سکے اور بھارت کو بھرپور جواب دیا جاسکے
    بشیر احمد خان
    گلی نمبر 13مکان نمبر 11
    سیکٹر بی
    قیوم آباد کراچی

  17. ibaad e robaas (khari sachi aur khalis ibadat ki jaga ) 2nd sugge bait e fatam (dozakh ki aag se bachane wala ghar)

    1. Karachi Masjad name.; Masjad Riazul Janna OR Baitul Ahad Riazul Janna .As the name indicates that it is place in between member and Roza e Rasool salalaho alaiwasalam .The most respectable and dearer part of the holy places ( Macca and Madina ) as well as in the World.Very important attributed with Prophet Salallaoalia e wasllaam. 2 . The credit also goes to Chief of Bahria Town FOR CONSTRUCTION OF SUCH A GREAT MOSQUE therefore his name should also be there as memorial. Lahore mosque name.: Masjad Ashabi Kannajoom : These are words of Haddis that ” My Sahaba are like stars whom which u follow u will find the right path” 1 . Islam spread all over the world due to sacrifices of Sahaba only. 2 . therefore this name includes Khulfai Rashideen 3 . Ahle Bait 4 . Ashra e Mubashra 5 Katibeen e Wahi and all of sahaba including the last one . 6 . Allah Rabbul Izzat also gives them certificate of Razza to All due to their love with Prophet sallalaho alaiwasallam’

Comments are closed.

Scroll to top
Open chat
WhatsApp Hotline
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

مہربانی فرما کر ہمارا نمبر 00923111042111 اپنے موبائل کی رابطہ لسٹ میں محفوظ کر لیں۔ اگر یہ نمبر آپکے موبائل کی رابطہ لسٹ میں محفوظ نہی تو آپ کو ہماری طرف سے تازہ معلومات موصول نہی ہوں گی۔

Kindly save this number in your contact list for future updates. You will not received our WhatsApp updtaes if this number +923111042111 is not saved in your contact list.

Atif Iqbal from eProperty®